AAnkh say dur na ho dil say utar jayega
wakt ka kya hy guzarta hy guzar jayega
itna maanoos na ho khilwat e ghum say apnay
too kbhe khd ko bh dykhay ga to dar jayega
...
tm sar e raah e wafa dykhtay rh jao gay
or wo baam e rafaqat say utar jayega
zndage teri ata hy to yh janay walay
teri bakhshis teri dehleez par dhar jayega
doobtay doobtay kashti ko uchala dy dun
mein nh koi to sahil pay utar jayega
zabt laazim hy magr dukh hy to qayamat ka faraz
zaalim ab kh bh na roye ga to mar jayega
No comments:
Post a Comment