Tuesday, July 19, 2011

Beetay huwe kuch din

Beetay huwe kuch din aise hain

Tanhayi jenhain dorahti hay

...Ro ro k guzarti hain ratain

Aankhoon main seher ho jati hay

Sharma k kabhi choup choup jana

Hans hans k kabhi chal cahl dena

Chunri k mulaim kone ko

Dantoon main daba k bal dena

Aawaz kisi k hansne ki

Kanoon main abhi tak ati hay

Taqdeer ne ham ko lout liya

Un ko yeh gilah ham bhul gayee

Aye kaash zabaan se kah sakte

Majboor hain ya ham bhul gayee

Woh jaan_e_tamana kiya jane

Kismat jo kiyamat dhati hay

Dewaar bani hay majbori

Woh paas bhi rah kar paas naheen

Ham piyaas bujha leen aankhoon ki

Itni bhi hameen to aas naheen

Barbaad bhi karti hay duniya

Mujram bhi hameen kahlati hay

No comments:

Post a Comment