Saturday, July 23, 2011

Lahu, Na Ashk, Na Husn-o-Jamaal maTTi ka
Na poocH kitna kaThin hai Sawaal maTTi ka

Na chaahay Aap say kucH bhi, hai Shaan maTTi ki
Panaah Aap ko day, hai kamaal maTTi ka
...
Isay jo khaak samajhtay haiN, khaak samjhay haiN
Milaa day khaak meiN sab ko jalaal maTTi ka

Paley, isi peh chalay haiN, isi meiN jaana hai
Ghuroor cHoR kay ehsaaN sambhaal maTTi ka

ZubaaN khaamosh, nazar jHuk gayee hai kyuN Aakhir
Hua kyuN Saamna karna mahaal maTTi ka

DiloN ko narm karo, aaj aisa azm karo !!
Urooj ban'nay lagey yeh zawaal maTTi ka

No comments:

Post a Comment