Friday, July 1, 2011

Lutf wo ishq mein paye hain k jee janta hai
Ranj bhi itne uthaye hain k jee janta hai .,

Jo zamane k sitam hain wo zamana jane
Tu ne Dil itne dukhaye hain k jee janta hai .,
...
Tum nahi jante ab tak Ye tumhare andaaz
Wo mere Dil mein samaye hain k jee janta hai .,

Inhi qadmon ne tumhare inhi qadmon ki qasm
Khaak mein itne milaaye hain k jee janta hai .,

Dosti mein teri dar-parda hmare dushman
Is qadar apne paraye hain k jee janta hai.. ,

No comments:

Post a Comment