Friday, July 15, 2011

main lafzon mein kuch bhi izhaar nahi karta
iska matlab ye nahi ke main tujhe pyar nahi karta
chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mein apna waqt bekar nahi karta
tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri
...isliye apne dard ko namodaar nahi karta
jo kuch mila hai usi mein khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta
par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim
warna main tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karta...

No comments:

Post a Comment