Saturday, July 23, 2011

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaanay kay liye aa
Aa phir se mujhe chord kay jaanay kay liye aa

Kuch toh meray pindar-e mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi toh kabhi mujh ko mananay kay liye aa
...
Pehle se maraasim na sahi, phir bhi kabhi toh
Rusm-o-rah-e-dunya hi nibhaanay kay liye aa

Kis kis ko bataeingay judaai ka sabab hum
Tu mujhsay khafa hai toh zamaanay kay liye aa

Ik umr say hoon lazat-e giryaa se bhi mehroom
Aye rahat-e jaan! mujh ko rulanay kay liye aa

Ab tak dil-e-khushfeham ko hain tujhsay umeedain
Yeh aakhari sham'ein bhi bujhanay kay liye aa

No comments:

Post a Comment