tumhain sotay may kab chora
may nay kai bar jhanjhora
palak say girtay ansoo nay
...tumhari neend ko tora
nazer pairon say lipti thi
keh ham ko rok lo jana
na hi had say nikalna tha
na hi rasta badalna tha
mujhay to jan-e-man her soo
teri chahat may dhalna tha
meray dil ka machalna tha
keh ham ko rok lo jana
teri banhon may jeena tha
teri banhon may merna tha
teri khatir sanwerna tha
teri khatir ujerna tha
mera tum say yeh kehna tha
keh ham ko rok lo jana
teri ankhon kay ansoo yeh
meray dil per kiwn girtay hain
mera dil noch laitay hain
mujhay baychain kertay hain
mujhay sab bhool janay do
tum mujh ko bhool ker jana
hami ko dosh daitay ho
hamaray dil ko hi tora
nahin ab zakhm bhi gehra
hay ab derd bhi thora
nahin ab RIBZ ko chahat
keh ham ko rok lo jana
No comments:
Post a Comment