dur rehne ki saza humne khud ko de di,
par rooh se apni unhe dur hum kar na paaye,
labon ne jhooth unse keh to diya,
par khuda hai gawaah ki ek bhi aisa guzra nahi,
jo unki yaad me humne aansu na bahaye,
...chahat aaj bhi hai utni hi jitni kal thi hume unse,
par wo kabhi hume samjhe hi nahi,
isliye jab jee chaha humpar ilzaam lagaye,
na bhule the kabhi na bhool payenge unhe,
unhe haq hai chahe jitna bhi wo sataye,
aakhri saans tak ye dil chahega unhe,
bhale hi hume maut kyo na aaye...
No comments:
Post a Comment