Tujh se milne ko kabhi jo hum machal jaate hai
toh khayaalon mein bohat door nikal jaate hai
Agar wafaaon mein sadaaqat bhi ho shiddat bhi ho
phir toh ehsaas se pathar bhi pighal jaate hai
...
Uski aankhon ke nashey mein hu jab se dhoobi
larkharaate hai kadam aur sambhal jaate hai
Bewafaayi ka mujhe jab bhi khayaal aata hai
ashk rukhsaar par aankhon se phissal jaate hai
Pyar mein ek hi mausam hai bahaaron ka
lowg mausam ki tarha kaise badal jaate hai.....!!!!!!
No comments:
Post a Comment