tumhara sath mil jae to sab dukh bhool jau gi ,
wo kehti thi k har soorat tumhain apna banau gi ...
nichawar khawab kar du gi tumhare har isharay par ,
kabhi peepal ki chaao mein kabhi nadiya kinary par ...
...
mujhe tum se mohabat hai mein duniya ko batau gi ,
wo kehti thi k har soorat tumhain apna banau gi ...
mein chahu gi tumhain jana umango se ujaalon tak ,
khudi k dasht se lar kar nae janmo k saalon tak ...
meri thandi si tanhai sulagti raat jesi ho ,
mujhe bas sath ly ja bhaly baraat jesi ho ...
tumhare surkh jory mein hi dulhan ban k aau gi ,
wo kehti thi k har soorat tumhain apna banau gi ...
tumhara sath mil jae to sab dukh bhool jau gi ,
wo kehti thi k har soorat tumhain apna banau gi ............
No comments:
Post a Comment