tere mere beech zamana padta hai
dil ko kitni baar batana padta hai
thehar gayi hai baat muqadder par aa kar
khud ko yeh aksar samjhana padta hai
sochoN ko kab qaid koi kar paaya hai
... lekin khud ko toh samjhana padta hai
rasta ho dushwaar ya raahi anjaane
iss jiwan ka saath nibhana padta hai
khamoshi ke dasne ka darr ho jis dam
aise mein khud shor machana padta hai
paas mere toh sirf tumhari yaadein hain
yaadon se dil ko behlana padta hai
No comments:
Post a Comment