Yehi bahut hai ke dil us ko Dhoond laya hai,
kisi ke sath sahi, woh nazar to aaya hai,
karon shikaytain,
... Takta rahon ke pyar karon,
Gai bahar ki surat woh lauT aaya hai,
Woh saamne tha magar ye yaqeen na aata tha,
Woh aap hain ke meri KhuwahishoN ka saaya hai,
azaab dhoop ke kaise hain baarisheN kiya hain,
Faseel-e-jism giri jab to hosh aaya hai,
main kiya karon ga agar woh na mil saka
Abhi abhi mere dil mein Khayaal aaya hai,,,!
No comments:
Post a Comment