Tuesday, June 14, 2011

Mujh ko Shikast-e-Dil ka Maza yaad aa gaya!
Tum kiyun udaas ho gaye? Kiya yaad aa gaya?
Kahne ko zindagi thi bahot Mukhtasar magar,
Kuch yu basar hoyi k 'KHUDA' yaad aa gaya!
Barse baghair hi jo ghata aagay nikal gayi,
Ik Be-Wafa ka Ehd-e-Wafa yaad aa gaya!
Yu chonk uthe wo, Sun kar mera shikwa,
Jese unhein bhi koyi gila yaad aa gaya!
Mangien gein ab dua k usay bhool jaein hum,
Lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya!..
Hairat hai tum ko dekh k masjid me aey
Kiya baat ho gayi jo 'KHUDA' yaad aa gaya.!

No comments:

Post a Comment