Sunday, July 24, 2011

"Door gaggan par betha chand"

Gum sum,chup chup,khoya khoya
Door gaggan par betha chand

...Uss nay dekha farsh pe jab se
Khud se b ik payara chand

Jis k hont chalaktay saghar,
Or tha jis ka chehra chand

Soch raha hay tab se ab tak
Farsh pe kese utra chand

Uski aik jhalak ki khatir
Dekho jhukta jhukta chand

Aik nazar wo khud ko dekhay
Aik nazar phir mera chand

Usko takta jaltay jaltay,
Badal main phir chupta chand

Dil ki dadhkan taiz hay ab tak
Pas se mere guzra chand

Usko ussay maang hi laitay
Or zara gar rukta chand

Nazar laga day na E chanda
Tujhko takta takta chand

Jaan hamari lay jata hay
Aisay aata jaata chand

Day kar apni jaan mana lain,
Ham se rootha rootha chand

Jaanay itna chup chup kioun hay
Soch main khoya khoya chand

Janay kesa dikhta hoga
Raat main soya soya chand..?

No comments:

Post a Comment